देख आ हम तुझे बताते हैं

Dekh aA hum tujhe btaate hain,
Kis tarah paaNv ladkhdaate hain,

Jab zammiN zaar zaar roti hai,
AasmaaN toot toot jaate hain,

Ghum.se dil baith-baith jaataa hai,
Aankh jub rahnumaaN churaate hain,

Aah waalon kii kaun sunta hai,
Raabite banke toot.jaate hain,

Zindagi khalvaton se ladtii hai
Jan o dil ghum me doob jaate hain,
PaaaNv aise hii ladkhdaate hain
Urmila Madhav

Comments

Popular posts from this blog

गरां दिल पे गुज़रा है गुज़रा ज़माना

kab chal paoge

ख़ूब है