जी रहे हैं लोग सब ऊंघे हुए

khwahishon ke rang main doobe huye,
jii rahe hain log sab oonghe huye,

ab kahan ho,kaise ho,kya haal hai,
biit jaayen sadiyan bin poochhe huye,

mahfilon main baithte to hain zaroor,
muskuraate hoth,dil roothe huye,

waah-waah kya baat hai,kya sher hai,
daad haazir,lab magar,sookhe huye,

aajkal ye hii masheenii taur hai,
muskuraaye,chal diye,rookhe huye,

फिर नया कोई निशाना दे हमें,
ज़िन्दगी ! हम तीर हैं चूके हुए !

ख़ूबसूरत ग़ज़ल Urmila जी..
बहुत ख़ूब !बकुल देव
#उर्मिलामाधव...
22.12.2015

Comments

Popular posts from this blog

गरां दिल पे गुज़रा है गुज़रा ज़माना

kab chal paoge