कहा करे कोई

Ghalib ki zamin par ek koshish..

kis-se kya-kya kaha kare koii
yun hi kab tak jalaa kare koii,

zindagi bhar kii ye musiibat hai,
Gham se kab tak maraa kare koi,

kab kahan pe ye saans ruk jaaye 
itna kab tak daraa kare koii,

gar ye himmat jawaab de jaaye,
aisii haalat main kya kare koii,

apni jaanib se bas nibaah rahe,
chaahe jitnaa daghaa kare koii ,

waqt bhii waqt par badalna hai,
sabr kuchh to zaraa kare koii,

aashiqii ishq ek fajiihat hai,
khud ko kyun mubtila kare koii,
उर्मिला माधव
Urmila Madhav

Comments

Popular posts from this blog

गरां दिल पे गुज़रा है गुज़रा ज़माना

kab chal paoge