tu bhi nahin

Main agar mazboot hoon murdaar to tu bhi nahin,
Raasta roke mera wo haar to too bhi nahin,

Barq aaii thi kabhi girne, dabishtaaN ki taraf,
Maine hans ke kah diya, gulzaar to tu bhi nahin,

Khud ba khud to jal rahi hai,tu sarapa aag hai,
Ghar jala kar hans saki,har baar to tu bhi nahin,

Muddaton se jal rahe hain ham to sehra ki tarah,
Par samandar saA kahin kirdar to tu bhi nahin

BewafaiI ka abas,ilzaam kyun mere taiiN,
Saahib-e-kirdaar saa gham khwaar to tu bhi nahin,

ZindagI ko jaa-b-jaa ruswa kare hai kisliye,
Sach yahi hai ke bahut , bezaar to tu bhi nahin....
Urmila Madhav..

Comments

Popular posts from this blog

गरां दिल पे गुज़रा है गुज़रा ज़माना

kab chal paoge