नहीं जी सकते

हम मुहब्बत के सराबों में नहीं जी सकते,
सच ही कहते हैं, हबाबों में नहीं जी सकते

आप आलिम हैं मुहब्बत के रहें,ख़ूब रहें,
यार,खादिम हैं नवाबों में नहीं जी सकते,

अपने जज़्बात भी चेहरे पै लिखे रहते हैं,
हम वो जुमले हैं किताबों में नहीं जी सकते,

बात कहते हैं लब-ए- दम भी निभा देते हैं,
झूठ या सच के जवाबों में नहीं जी सकते,

दिल के बदले में दिया दिल ये कोई बात हुई,
पूरे जाहिल हैं हिसाबों में नहीं जी सकते,
--------------------------------------------
ham muhabbat ke saraabon main nahin jii sakte,
sach hii kahte hain habaabon main nahin jii sakte,

aap aalim hain muhabbat ke rahen khoob rahen,
yaar,khaadim hain navaabon main nahin jii sakte,

apne jazbaat bhii chehre pe likhe rahte hain,
ham wo jumle hain kitaabon main nahiin jii sakte,

baat kahte hain lab-e-dam bhii nibhaa dete hain,
jhuth yaa sach ke jawaabon main nahin jii sakte

dil ke badle main diyaa dil ye koii baat huii !!
poore jaahil hain hisaabon main nahiin jii sakte...
उर्मिला माधव....
20.6.2014..

Comments

Popular posts from this blog

गरां दिल पे गुज़रा है गुज़रा ज़माना

kab chal paoge