दोस्तो

आग में आग भड़का रहा दोस्तो?
काम पानी का फिर क्या रहा दोस्तो??

आग,रूहानी हो,आग जिस्मानी हो,
ज़िन्दगी ही जली बारहा दोस्तो,

ज़िन्दगी भर जले,मर के भी जल गए,
खेल क़ुदरत का ये क्या रहा दोस्तो??

आशिक़ी में जले,जल गए वस्ल में,
आदमी क्या सिला पा रहा दोस्तो??

रौशनी के लिए शम्मा रौशन करे,
सिर्फ़ धोखा ही तो खा रहा दोस्तो....
--------------------------------------
aag main aag bhadkaa raha dosto
kaam paanii ka phir kya raha dosto??

aag roohaanii ho,aag jismaani ho,
zeest hii to jalii baarahaa dosto,

zindagi bhar jale,marke bhii jal gaye,
khel qudrat kaa ye kya rahaa dosto??

aashiqii main jale,jalgaye vasl main,
aadmii kya silaa paa rahaa dosto??

raushnii ke liye shamma raushan kare,
sirf dhokhaa hi to khaa raha dosto....
उर्मिला माधव...
17.6.2014..

Comments

Popular posts from this blog

गरां दिल पे गुज़रा है गुज़रा ज़माना

kab chal paoge